Thursday, 25 April 2019

Mankading. Wrong or right?

Hey friends! Abhi recently India me IPL 2019 ka bukhar logo ke sir par chadha hua hai. Khair, India me agar cricket ko sports na keh kar religion bhi kaha jae to koi galat nahi hoga.

Abhi recently hi IPL 2019 me Kings 11 Punjab aur Rajasthan Royals ke match me 1 ghatna ghati, ghatna ye thi ki acche form me chal rahe Jos Butler ko R. Ashwin ne Mankad tarike ka istemal karte hue out kar diya. Khair, cricket me batsman ka out hona koi ekdum gambhir bat nahi hoti, swabhawik si bat hi ki batsman ka batting karne aana aur out hona. Par yaha par mamle ne tuul pakad liya Ashwin ke dwara mankading kiye jane par. Log Ashwin ko cunning, badmash yaha tak ki cheater tak kehne lage.
Par yaha kuch bate dhyan dene yogya hai. Jaise ki R. Ashwin ne koi bhi cheating nahi ki. Agar mankading karna cheating karna hota, to cricket ke niyamo me bhi ise galat thahraya jata. Ab ye galat kyu nahi hai iske kuch karan mai aap ko batana chahunga.

1.mankading tabhi ki ja sakti hi jab non striker batsman ka leg ya bat crease ke bahar ho. Agar hum yeh kehte hai ki bowling team ne acche khase form me chal rahe batsman ko apne fayde ke liye mankad kiya, tab is bat ka bhi dhyan rakha jana chaiye ki non striker batsman ne bhi apne running distance ko kam karne ke liye apne aap ko crease se kuch aage rakha. Fir to ise bhi cheating kehna chaiye.

2.agar mankading ka niyam cricket me hai tab isse saf hi ki mankading karna niyam ke khilaf nahi hai. Isliye R. Ashwin ya kisi bhi mankading karne wale bowler ko cheater nahi  kaha ja sakta.

3.Mankading niyam me galat kyu nahi hai?
Iska sidha sidha answer hai ki agar mankading ke niyam ko hata diya jaega tab non striker batsman ke pas khuli chhot hogi ki wah bowler ke delivery kiye zane ke wakt aadhi pich ke bhi par chala jae,jisse ki use run lene me kafi aasani ho.

Thankyou. To dosto ye the mere kuch tark ki mankding galat kyu nahi hai. Ummid karta hu ki aapko mere reasons pasand aae honge.
Aapko kya lagta hai, mankading sahi hai ya nahi, comment kare awm blog pasand aaya ho to ise apne dosto se bhi share kare.